Facebook par Fake ID Ka Pata Kaise Lagaye Hai Full guide

Aap sabhi log facebook use karte hone,To Aap sabhi ko pata hoga Facebook sabse jada use hone wali social Network hai.Aap kabhi kabhi dekhte hone ya kabhi kabhi aapke sath yesa hua hoga ki aako kisi ladki ke naam se Friend Request aaya hoga.Aaj kal bhut sara ladke ladkiyo ke naam ke fack facebook account khol kar lakho ko bewakhuf bante rahte hai.Yesa aapke sath kabhi na kabhi jarur hua hoga.or aapne dekha vo vo fack account kisi dusri girl ka photo roj upload karti hai,to uske us photo ya status par jada se jada like and comment hote hai.To aap is tarah ka koi bhi facebbok id aapko dikhe to samjh lena chahiye ye ek fake facebbok account hai,or es sab se  hame bach kar rahna chahiye.To mai aapko Es post me batane wala hu ham kaise facebook par facebook ID ka pata laga sakte hai.
facebook- par- fake- id -ka -pata- kaise- lagye

facebook par fake ID ka pata kaise lagaye?

To dosto fake id se bach kar rahna he sabse accha hai.mai aapko kuch step ke dawara batane wala hu ki ham kis tarah facebook  par fake id ka pata kar sakte hai.to chaliye dekhte hai.



*Facebook ID Hack Hone se Kaise Bachaye

*Facebook ID Block Q Hoti Hai,Ese Block Hone Se Kaise Bachate hai

step 1 profile picture-

Jab koi facebook par kisi copyright matlv koi bhi actor ka profile picture lagaye hue ho to samjh lena vo Id fake hai.kue ki fake id par hamesa kisi na kisi ladkiyo ki photo roj ke roj upload hoti rahti hai jo ki fake Id hoti hai.

step 2 friend list-

ye sabse Aasan tarika hai facebook fake id ka pata lagane ke liye.Agr kisi bhi facebook Id me bhu jada friend hote hai to samjh lena chahiye vo fake Id hai,kue ki fake ID use karne wale log bina jan phchan logo ko bhi apne facebook account me add kiye rahte hai.

step 3 Account information-

Age kibhi bhi id ka information puri tarah na ho to samjh lena vo id fake hai,kue ki fake id apni koi bhi information facebbok pe nhi dale hue rahta hai.

step 4 Birthday date-

ham uski birthday date se uske fake hone ka pata laga sakte hai,jo id fake hoti hai vo apni birthday date kuch es tarah ka diye hue rahti hai facebook par .ex. xxx/2/2 ya 31/12 

step 5 Timeline overview-

hame uski timeline chek karna chahiye jiski id ke timeline par upload photo or status par jada se jada like or comment ho or us comment me faltu ke faltu bate comment kiye gya ho to esse bhi samjh lena chahiye vo fake ID ho sakta hai.

step 6 mobile number-

uski infomation ke mutabit hame uska mobile number chek karna chahiye kue ki fake id me mobile number to kabhi kabhi rahta hai lekin vo galat number add kiye rahta hai.kue ki ladki bana kar fake id use karne wala ladka apna presnal mobile number nhi dal sakta hai.



DOsto mai aapse ye jarur kahna chahunga ki aap kabhi bhi kisi anjan ladkiyo ka request na accept kare or na usse chat kare.ladke ladki ka fake account bana kar hame bewakuf banate hai esse hame savdhan rahna chahiye,kue ki ye hame nukshan bhi pahucha sakte hai.Esliye mai to kahta hu bina jan phchan ke request accept nhi karna chahaiye.

To dosto maine jo facebook par Fake ID  ka kaise pata lagaye iske bare me jo bataye ummed hai aap ese jarur follow karenge or fake ID se bach kar rahenge.Agr aapko meri post Acchi lagi to hame comment kar jarur bataye or apne friend ko jarur share kare..

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form