Mobile Phone Ki Internet Speed Kaise Badhaye 7 Killer Triks

Is Post me ham aapko batane wale hai Mobile Phone ki ''internet speed'' kaise badhate hai.Aaj kal sabhi log ke pass Android phone hota hai,Sabhi log Aaj kal internet se jude rahte hai.Abhi 4G ka jamana hai tab bhi 4G pack bhut he mahnga hoga hai.Sabhi log apne mobile me 2G ka jada se jada tak use kar rahe hai.Internet pack dalwane ke bad bhi agr hamara internet speed fast nhi hota hai to fina fast internet ke net ka use karna kitna bekar sa lagta hai.Internet ki speed low hone ka karun aap Network cannection me problem hai,yesa aap sochte honge.Par Android phone me slow internet chalne ke kuch or bhi karun hote hai jo mai aapko batane wala hu.
Android-phone-ki-internet-speed-kaise-fast-kare
Mobile Phone Ki Internet Speed Kaise Badhaye 7 Killer Triks

Agr aap internet ki slow speed ko lekar paresan hai to aap tensan na le,Mai aapko is post me Internet ki speed fast karne ka kuch triks batane wala hu jise aap follow karne apne phone ki internet speed badha sakte hai.

 Android Phone Ki Internet Speed Badhane Ka 7 Killer Triks



step 1. Internet Browser Ko Update Kare-

Jab aapke mobile me dhimi internet chal rahi hai to aap ye samjh le aapka internet browser update nhi hai.Internet browser update karte rahna chaiye.Agr aap apne browser ko update karte hai to aap apne Android phone ki internt speed ko 20_30% badha sakte hai.

Jab Aap kabhi apne mobile par jis kisi bhi browser se internet use karte hai,Agr aapka browser me internet slow kaam karta hai to aap turant us browser ko new virsion me update kare.Ek browser ko hamesa bina update kiye use karne se Aapke smartphone me internet ki speed kafi slow hogi.So hamesa internet browser update karte rahe.Iske Sath ki sabhi browser ko bhi update karte rahe.

step 2.Antivirus Ka Use Kare-



Aaj kal sabhi log jiske pass Android phone hota hai,Lahbhag sabhi log internet ka istmal karte hai.Jada se jada internet use karne se internet ke madhyam se hamare mobile me virus ka Attact ho jata hai,Jo hamare phone ki speed kaam karne ke sath sath vo hamare internet ki speed bhi kam kam kar deta hai.

Hame Apne Android phone me Antivirus ka use karna chahiye,jisse hamare mobile ke virus bhi dur rahega or sath he sath hamare Internet ki speed bhi badhegi.


Read *Coputer Me Internet Ki Speed Kaise Fast Kare

step 3.Android Phone Ki Ram Or Internel Memory Par dhayan Rakhe-

Jab Aap mobile kharidne jate hai,To mobile kharidne se phle kuch bato ka jarur dhayan me rakhe.
1.Jab aap phone kharidte hai to jada internet memory wala phone he pasand kare.Internel memory jada hoti ho aapke phone me jada space hoga,Or aapka phone hang bhi nhi karega,Jisse aapke mobile ki internet speed kafi fast hogi.

2.Jab aap android phone kharidne jate hai to hamesa jada Ram wala phone he kharidne ki kosis kare.Kam se kam 1GB Ram wala phone le.

step 4.Unistall Faltu Apps-

Bhut sare Android phone use yese hote hai jo hamesa Android phone ka istmal Game khelne ke liye karte hai,Wo bhut sare Game ya koi bhi Apps download kar phone par installed kar lete hai.To Android phone ki ram kam hone ke wajah se hamara phone jada se jada apps ko load nhi kar pati hai jis karun hamara phone fhasne lagta hai or hang bhi hoti hai.

Mobile me extra apps ko use karne se internal memory full ho jati hai.Jis karu hamare android phone ki process slow ho jati hai.Is karun internet dhimi chalne lagti hai.So internet ki speed badhane ke liye hame faltu apps ko apne mobile se uninstalled kar dena chahiye.




Read.Android Phone Ko Safe Kaise Rakhe 10 Tips

step 5.Phone Me Jada File Nhi Use Kare-

Aapke phone ki memory ki capcite agr 1GB hai to aap jada se jada kar apne phone me 800-900 mb ka he use kare,usse jada use nhi kare.Jab aapke android phone ki phone memory card full ho jayegi,tab aapka phone kafi slow chalega,jiske sath aapke mobile me internet ki speed bhi slow ho jayegi.

step 6.Kam Mb Ka Apps Use Kare-

Bhut sare yese Android phone hote hai jisme process kafi  kam hota hai.Jab koi bhi Apps jo jada mb ka ho use Apne phone me installed karne se phone ki spped ke sath sath internet speed bhi kam ho jati hai.Agr aap apne phone ke jada bada mb ka apps ko rakhe hai to use hata de.Isse aapke phone ki internet speed kam ho jati hai.

step 7.Force Stop Apps-

Android phone me fast internet chalane ke liye,Apne android phone me jo bhi aaps ko aap abhi use nhi kar rahe hai use force stop kare.Jab ham koi bhi apps ya game play karne ke bad use direct band kar dete hai to Us game or apps ki processing chalte rahti hai.To Aap use karne ke bad Apne apps ko force stop kar de.Isse Aapke internet ki speed badhegi.


Read Android Phone Ko Virus Se Kaise Bachaye

I hope Agr aap is triks ko follow karte hai to Aapke phone me internet ki speed kafi badhegi,Or Aap apne phone me fast tarika se internet chala  sakte hai.Agr aapko mri post pasand aayi ho to hame comment karke jarur bataye,Or is post ko Apne dosto ko share bhi kare.

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form