Fevicon Kya Hai Or Isko Blog Me Kaise Add Kare

Fevicone kisi bhi site ka icon hota hai.Jab ham kis bhi website ko open karte hai to upar tab me us website ka icon ban jata hai.Aap bhi jab aapka blog open karte hai tab aapne upar tab me dekha hoga orange rang ka ''B'' bana hoga,ye aapke blog ka fevcon hai.Fevicon ka size 16x16 pixels hota hai.

Fevicon Ke Kya Fayda Hai

Blog/website me fevicon ko lagane se hamare sit ka ek accha look mil jata hai.Aap hamare blog/website ko open kar dekh sakte hai maine bhi fevicon lagaya hua hai.Jab ham bhut sa tab open karte hai ek browser me to isse pata chal jata hai kon si site kis tab me hai.Blogger Fevicon ko badlne ka option deta hai,Aap bhut Aasani se apne blog ka Fevicon change kar sakte hai,Aap apni pasand ka fevicon add kar sakte hai.
fevicone kaise add kare blog me

Blogger Me Fevicon Kaise Add Kare

To Dosto blogger me fevicon lagana bhut he Aasan hai,Agr Aap apne blog ka fevicon Add karna chahte hai to aap hamari kuch step ko follow kare.

step 1. Sabse phle aap apne blog ke dashbord me jaye.

step 2. Ab Layout par click kare.
Dashbord>>Layout

step 3. Ab aap fevicon ke samne edit ka option par click kare.
layout par click karne ke bad fevicon ke samne edit par click kare


step 4. Fevicon edit parclick karne ke bad ek new window open hoga aap niche ke screenshot me dekh sakte hai.
fevicon select kare



*Isme aapko choose file ki button par click karna hai.choose file par click karne ke bad aap apne file me pahuch jayenge jisme se aapko 100 kb ka koi image ko select karna hai.Dhyan rahe 100 kb se jada ki image nhi honi chahiye.



*Image select karne ke bad save ki button par click kare. Ab aap blog me jakar dekh sakte hai aapke blog me fevicon add ho chuka hai.


To dosto maine jo Is post me jo  fevicon kaise lagate hai blog me bataya hai.Ummed karta hu aapko meri post pasand aayi hogi agr aapko ye post pasand Aayi ho to hame comment karke jarur bataye.




Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form