Blog Post Me Label Kaise Use Kare Full Guide

 Aap sabhi blog use karte hai,Blog banane ke bad ham bhut sara Widgets Add karna hota hai blog me.To ham jab koi bhi Article likhte hai to hame us post se reletiv Label banana padhta hai.Jab ham alag alag topic par post likhte hai tab hame us post ko alag alag category me add karna hota hai.Jisse koi bhi vistor hamare blog par aata hai to vo hamare lebel ko select karta hai.Label ko blog me add karne se vistor ko koi bhi problem nhi hoti hai,vo hamare blog par apni kaam ki post ko Aasani se padh pata hai.To chaliye mai aapko label  ke bare me thora bistar se batata hu.
Blog Post me label kaise use kare post category ke liye

Label Kya Hai,Iska Kya Kam Hota Hai Blog Me?

To dosto Label ka kam blogger me blog post ko alag alag category me arrange karne ka kam hota hai.Example ke taur par mai aapko batata hu,man le aapke blog me 30 post hai jisme aapne blogging,internet,facebook, ets ke topic par post likh diya hai.To jab koi bhi vistor hamare blog par aayega to use hamare blog par uske kafi paresani hogi,vo apne kam ka post ko nhi padh payehga,kue ki hamare post me koi bhi label nhi hai.Man lijiye koi bhi vistor hamare blog par internet se reletiv jankari padhna chahte hai to vo internet ke lable par click karenge,To use hamare post par jitni bhi internet se reletiv jankari hai use us lable ke jariye mil jayegi.To Ham apni post me label ka use kar post ko alag category se set kar sakte hai.

Blog Me Label Ke Kya Fayda Hai?

Jais maine bataya hai,Blog me label ko add karne se hamare blog ki sari post ek category me dikhe degi.To isse hamara blog dikhne me kafi clear lagega,or vistor ko koi bhi paresani nhi hogi.Jab vistor ko koi bhi paresani nhi hogi to vistor bhi hamare blog par Aana pasand Karega.

Blog Post Me Label Ko Kaise Lagaye?

Jab Aap apni blog par koi bhi new post likhte hai,to aapne dekha hoga post ke Right side me post setting ke niche Ek label ka option dikhe deta hai uspr click karna hai.
label add kare
 


* Aap Apne blog par kis topic ka post ko likh rahe hai,us post se reletiv yaha par apna labels add kare.
Example- Agr aap apni post par facebook,blogging se reletiv post likh rahe hai to aap label me facebook/blogging likh kar done kar de.

Note. Jab aap apni post par 10-20 labels ko add kar dete hai,tab aapka label niche show karega.Aap jab bhi us label se reletiv post likhte hai tab aap niche diya gya labels ko select kar sakte hai.

Blog Post Me Kitne Label Use Kar Sakte Hai?

Blog post me aap jitna chahe utna label ko Aasani se use kar sakte hai,isse koi bhi problem nhi hogi.Par blog me label ko use karne se pahye ek baat ka dhayan jarur rakhe,bina kam ka koi bhi label blog me use nhi kare,jisse koi bhi vistor aapke blog par aayega to use uske kaam ka post nhi milega.Aap ek label me 3 sabh se jada ka use nhi kare.



Label Widget Kaise Add Kare Blog Me?

Ab aap apne post me label ko add kar diya hai,ab aap post ke niche dekh sakte hai aapne jo label ko add kiya hai wahi label post ke niche/upar show karegi.sabhi label ko apne blog post me dikhane ke liye aapko apne blog me label widget ka use karna padhega.To chaliye dekhte hai label widget kaise use kare.

1. Apne blog ke dashbord par jaye,uske bad layout par click kare.

2. Ab Blog ke side me Add wigtes ka option hoga uspar click kare.
add- a- gadget- par- click- kare


3.Ab ek new window open hoga jisme aapko Labels par click karna hai.
labels-par-click-kare


4.Labels par click karne ke bad ek window open hoga.
save-par-click-kare


*Tittle me aapko label likhe.
*cloud par click kare.
*Ab last me save par click kare.


Labels Ka URL Kaise Pata Kare?

#Aapko jis labels ka URL pata kaarna hai,us label par click kare.

#Ab ek new window open hoga jo us label ka link hoga.

Example.http://blog-ka-nam.blogspot.com/search/label/label-ka-naam

To dosto ummed karta hu aapko meri ye post acchi lagi hogi,agr aapko is post me kahi me koi bhi problem ho to aap hame comment karne jarur puche.


Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form