Login Background change karna kafi Easy hai,bas aapko ek software download karna hoga.Computer ka login Background change karne se jab ham apne computer ko login karte hai tab hame dekhne me kafi accha lagta hai.Ham apni pasand ka koi bhi Background laga sakte hai.To chaliye dekhte hai computer ka login background kaise change karte hai.
Computer Ka Login Background Kaise Change Kare
Computer ka ''login background change'' karne ke liye hame ek sofware ko apne computer me install karna hoga,jis software ka naam hai ''Logon change''. open karne ke bad Aapke samne kuch option aayenge jiske bare me mai phle bata deta hu taki aapko koi problem na ho.
1. change logon background par click kar aap apna background select kar sakte hai.
2.Test par click kar aap apna set kiya gya background dekh sakte hai.
3.Revert To Default Logon Screen par click karke aap Default Background laga sakte hai.
4.iske koi kaam nhi hai.
step 1.Sabse phle aap apne computer me logon change naam ka software ko download kare.download karne ke liye aap niche diya gya link par click kare.
step 2. software download hone ke bad ese install kar open kare open karne ke bad kuch Es tarah dikhega aap niche picture me dekhe.
Ab aap change Logon Screen par click kare.
*Gmail ka background themes(colour) kaise change karte hai
* Computer/Laptop Ka Processer Name Change Kaise Kare
* Computer/Laptop Ka Processer Name Change Kaise Kare
step 4. Change logon screen par click karne ke bad ek naya window open hoga jisme aap apni computer me koi bhi picture ko select kar le,picture select karne ke bad Open button par click kare.
step 5. Open par click karne ke bad ek window open hoga jisme aapko Yes par click karna hai.
step 6.Yes par click karne ke bad ek window open hoga jisme aapko OK Par click karna hai.
step 7. Ok par click karte he aapke samne ek window open hoga ab esme aap dekh sakte hai ''New Logon Background Successtully Installed'' likha hoga,ab esme aap ok ka button par click kare.
* Computer Me File/Folder Ko Kaise Lock Kare 3 Methord
* Computer Me Delete Hua File Ko Kaise Recovery Kare
Ab aapka login background change ho chuka hai aap dekh sakte hai.
To dosto kaisi lagi ye post agr meri ye post aapko acchi lagi hogi to hame comment kar iska jawab jarur de.Agr aapko es post me kahi bhi koi problem aarahi hai to aap hamse comment karke puch sakte hai.ek baat or friend es post ko aap facebook,google plus se apne dosto ko bhi share kare.
Tags
Computer