Ek Computer Ko Dusre Computer Se Connect Kaise Kare

Hello dosto,Aaj ham aapko is post me ek aisa tricks batane wale hai jisse aap apne ek computer ko dusre computer se connect kar sakte hai.jab hame kabhi apne computer ke data dusre computer par transfer karna hota hai to ham direct transfer nhi kar sakte hai.Iske liye hame sabse pahle computer se sabhi file,our data ko kisi hard disk me copy karna hoga,fir ham us hardisk se dusre computer/laptop me sabhi file ko send kar sakte hai.

Agar ham Aisa karte hai to hamara bhut time barbad hoga.Mai aapko ek Aisa tarika batane ja raha hu jisse Aap bina kisi hardisk me data ko copy kiye aap direct ek computer ke sabhi file ko dusre computer me bhej sakte hai.Bas iske liye aapke computer ko dusre computer se connect hona jaruri hai.

Ek Computer Ko Dusre Computer Se Connect Kar Data Transfer Kaise Kare


Step 1. Sabse pahle aap dono computer ko lan wire se connct kare.Ab aapko ip adress configure karna hai.

Step 2. Computer ke control pannel par jaye,Network and internet par click kare.

Step 3. Network and sharing par click kare.

Step 4. Change adapter setting par click kare,Ethernet icon par double click kare.

Step 5. Propeties par click kare.

Step 6. Internet protocol version 4 par click kare.Ab aapke samne ek dialog box open hoga.Yaha ek dusre ke computer ka ip address dale,Ok par click kare.

Ab dono computer ek dusre se connect ho chuka hai.To ab aap ek computer ka file,folder etc dusre computer par send kar sakte hai.


Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form