Laptop Ki Bettry Life Kaise Badhaye Full Guide


Dosto Aaj ke is post me ham aapko batane wale hai ''laptop ki bettry life kaise badhaye''.Jab ham kabhi laptop par apna koi jaruri kam karte hai to bich me kahi laptop ki bettry low ho jati hai to hame kitna gussa aata hai,Our to our hamara kitna importent work kharab ho jata hai.Laptop kharde time bhi log sabse pahe laptop ki bettry ke bare me bat karte hai ki hamare laptop ki bettry chalegi ya nhi.Laptop me bhut sare Aiase karun ote hai jisse hamare laptop ki bettry jaida nhi chalti hai.Laptop ki bettry life badhane ke kuch tarika hai jiske bare me ham aapko is post me batayenge.
Laptop-Ki-Bettry-Life-Kaise-Badhaye

Mai aapko is post me kuch Aise tips batane wala hu jiko agar aap follow karte hai to aap apne laptop ki bettry lifer se thora bhut sudhar kar sakte hai,mera matlv hai aap apne laptop ki bettry life badha sakte hai,Jisse aapka laptop jaida dher ka chalega.To chaliye dekhte hai laptop ki bettry life kaise badhaye.


Laptop Ki Bettry Life Kaise Badhaye

1. Stop Application-

Agar aap laptop par koi kam kar rahe hai to aap us time un app ko stop kare jiska use aap nhi kar rahe hai.Agar aapne aisa nhi kiya hai to aapke laptop ki bettry bhut jaldi low ho jayegi.

2. Off Bluetooth

Laptop me me hamare android phone ke jaisa bluetooth device bana hua rahta hai,Jisse ham koi bhi song,video etc send kar sakte hai.To jab bluetooth ka istmal nhi kiya ja raha hai to aap apne bluetooth ko off kar de.

3. Off Internet

Bhut sare log apne laptop ko hamesa internet se connect karke rakhte hai.To hamesa internet istmal karne se laptop ki bettry life kam ho jati hai,Our bettry kam time chalti hai.To agar aap laptop ki bettry life badhana chahte hai to jab kam nhi ho internet off rakhe.
4. Low Brightness

laptop ki bettry ko low hone ka karun display brightness hota hai.Agar aap apne laptop par hamresa full brightness rakhe huye hai to jahir si bat hai aapke laptop ki bettry kam chalegi.Agar aap bettry life ko badhana chate hai to laptop ka brightness utna rakhe jitna ham saf saf dekh sakte hai.



5. Overcharge Bettry

Had se jaida bettry ko charge nhi karna chahiye.Kuch log Aise hote hai jo hamesa apne laptop ko charge par rakh kar chod dete hai,Jururat se jaida charge hone par laptop ki bettry kharab ho jati hai our wo bhut kam time tak chalti hai.

Jab laptop full charge ho jaye use charger se nikal de.Aisa Agar aap karte hai to aapke laptop ki bettry jaida dher tak chalti hai.

6. Use Task Manager

Aap laptop me task manager se pata laga sakte hai ki aapke laptop me wo kaun sa app hai jo jaida se jaida bettry load leta hai.Agar aapko iske bare me pata lage to aap Aise app ko turant off kar de.Agar aap task manager ko open karna chahte hai to aap apne keyword se CTRL+SHIFT+Esc butto ko press kare aap task manager me pahuch jayege.

To Dosto Ye kuch tips hai jise agar aap follow kate hai to aapke laptop ki bettry life badhyegi.Agar aapko bettry life ko badhana chahte hai to aapko to is post me follow karna bhut he jauri hai.
Agar aapko meri post se jara bhi help mili ho to hame comment karke jarur bataye,Our is post ko share kare.

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form