Computer Par Window 10 Kaise Install Kare Full Guide

Aaj Ke Post Ka Topic Hai ''Window 10 Install'' Karne Ka Tarika.Aaj Mai Aapko Batane Wala Hu ''Computer Par Window 10 Kaise Install Kare''.Window 10 Window ki new featured hai Jo Microsoft ke Dwara new Update kiya gya hai.Window 10 Ka Feature Window 7,8,8.1,xp Se Bhute he Alag Hai.Agar aapne window 10 ko ab tak use nhi kiya hai To Aap Ekar Jarur is new update ko try kare,Ye Kafi Achha dekhne me lagega.

Window-10-Kaise-Install-Kare

Window 10 Aap Free Me Install Kar Sakte Hai,Jaisa Ki Aapne Window 7,8,8.1 Ko Aapne Computer Par Install Kiya Hoga.Window 10 Ka Look Other window se bilkul Alag Hai.Computer/Laptop Par Window 10 Install Karne Ke Liye Aapko Window 10 Ka Iso File Download Karna Hoga.Window 10 Ka Iso File Kaise Download Kare Aap Yaha Se Padhe.Iso File Download Karne Ke Bad Aapko Apne PenDrive/DVD Drive Ko Bootabel Banaye.Aage Dekhte Hai Computer Me Window 10 Kaise Install Kare.


Read * Window Ke Liye Bootable Pen Drive Kaise Banaye
   
         * Window Ke Liye Bootable DC/DVD Disc Kaise Banate Hai

Window 10 Install Karne Ke Liye Aapke Computer/Laptop Ka Kuch Importent Part Ka Hona


1. 1GHz Processor
2. 1GB Ram (Memory) 32Bit And 2GB 64bit Os.
3. 16Gb Hard Disk Space

Computer/Laptop Par Window 10 Kaise Install Kare

Step 1. Sabse Phle Aap Window 10 ka iso file ko download kare.

Step 2. Iso file download karne ke bad,agar aap pendrive se laptop/computer me window 10 install karna chahte hai to pendrive ko bootable banaye.

Agar aap cd/dvd Se Window install/formate karna chahte hai to dvd burneing kare.

Step 3. PenDrive boot karne ke bad pen drive ko apne computer ke UsbPort me dale,Our computer ko restart kare.

Step 4. Ab aapke computer ke screen ke niche aapko boot menu ke liye aapko keyword se f12/f9/f11 etc press karne ko bola jayega,aap ko wahi press karna hai.

Step 5. Ab aapke samne press any key ka option aayega.Ab aap keyword se kisi bhi key ko press kare.

Step 6. Ab aapke samne window 10 install karne ke liye ek screen show hogi,Yaha aapko Simple Next ki button ko press karna hai.

Window-10-Kaise-Install-Kare

Step 7. Next Button par click karne ke bad ab new window me install ki button par click kare.

Window-10-Kaise-Install-Kare


Read * Pen Drive Ki Speed Kaise Badhaye

       

Step 8. Ab aapke samne ek product key ka option aayega.Agar aapke pass window ki product key nhi hai to aap ''i don't have a product key'' Button ko press kare.

Window-10-Kaise-Install-Kare

Step 9. Ab ek window open hoga,Yaha aapko Window 10 pro par click kare,Uske bad next par click kare.
Window-10-Kaise-Install-Kare

Step 10. Ab aapke samne license team ka window open hog,Yaha aapko accept karna hai uske bad next par click kare.
Window-10-Kaise-Install-Kare

Step 11.Ab Aapko yaha coustom Install Window Only(Advenced) Par click kare.

Window-10-Kaise-Install-Kare

Step 12. Ab yaha yaha window formate karne ka option aayega.Yaha aap apne computer ke C drive jo ki window ki dive hoti hai,Ye kafi kam GB ka hota hai.

Window-10-Kaise-Install-Kare


1. Drive part par click kare.
2. Formate par click kare,Uske bad ok press kare.
3. Ab next ki button par click kare.

Step 13. Ab aapke computer me window 10 install hona suru ho jayega

Step 14. Ab kuch dher bad aapki computer restart ho jaegi.

Window-10-Kaise-Install-Kare

Step 15. Ab aapko kuch nhi karna hai,Sari kam khud par khud hogi.Ab aapke samne Getting Ready jaisa scrren aayega.

Step 16. Ab aapke samne ek window open hoga.

Window-10-Kaise-Install-Kare


1.Yaha aap apne pc ka koi bhi name add kare.
2. Next par click kare.

Step 17. Ab kuch dher wait karne ke bad aapki computer par sucessfully window install ho jayega.

Window-10-Kaise-Install-Kare





To dosto ab aapki computer open ho chuki hai,Our window 10 me aapka computer change ho gya hai.Is tarah aap kisi bhi laptop/computer par window 10 install kar sakte hai/

I Hope dosto maine aapko jo bhi bataya hai aapko jarur pasand aai hogi.Agar aapko meri post pasand aayi hai to hame comment karke jarur bataye.Agar aapko meri post me kafi bhi koi problem ho rahi hai to aap hamse comment karke jarur puche.

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form