Aaj Mai Aapko Batane Wala Hu Pen Drive Ko ''Multi Bootable'' Kaise Banaye.Multi bootable PenDrive Wo Hota Hai jisse ek se jaida window install kiya jata hai.Jaisa ki aap sabhi Log Apne computer/laptop par window install karne ke liye Bootable pendrive me kisi 1 window ko install karte hai.Aap Ek pendrive me ek se jaida window Install nhi kar sakte hai.Agar Aap Multi bootable Pendrive Banana Chahte Hai To Iske Liye aapke pass 16GB ka Pendrive hona bhut he jaruri hai.
Agar Aapko computer formate kar window 8 install karna hai to aap sirf window 8 ke liye pendrive ko bootable bana sakte hai.Agar aap Window 8.1,window7,window xp,Window 10 ko bhi ek he pendrive me ek sath boot karte hai to aapki window creept ho jayega,Our aap us pendrive se computer me window install nhi kar sakte hai.
Aaj Mai Aapko Aisa tarika batane wala hu Jisse aap Apne Kisi Bhi Bootable pendrive ko multi bootable bana Kar Use Kar sakte hai.Aap window 7,8,8.1,xp ko ek pen drive me boot kar sakte hai.Isse aapko jab kabhi koi bhi window ko install karna hoga to aapko bar bar alag lag pendrive ki jarurat nhi padegi,Aap ek pen drive se sabhi compute/laptop me window install kar sakte hai.To chaliye dekhte hai Pen Drive Ko Multi bootable kaise banate hai.
Multi Bootable Pen Drive Kaise Banaye
Multi Bootable pendrive banana bhut he easy hai,Iske liye aapko ek software ko download karna hoga.Jis software ki madad se aap multi bootable pendrive bana sakte hai uska nam hai winsetupFormUSB. To sabse pahle aap is software ko download kare.
Step 1. winsetupFormUSB Download karne ke bad ise install kar open kare.
1. Computer Me Pendrive Ko Connect Kare,Connect Karne ke Bad Aapka Pendrive yaha show karega.
2. Auto Formate par click kare.
Note- Aap Ek Sath Sabhi window ko pendrive ko boot nhi kar sakte hai.Aap Ek Ek Kar Pendrive me window ko install kare.
Examle- Ap pahle window 7 ko apne pendrive me install kare,uske bad window 8,fir window 10. Is Tarah aap Sabhi window ko dhere dhere pendrive ko boot kar pendrive ko multi bootable bana sakte hai.Uske bad aap ek pendrive se sabhi window ko computer/laptop par install kar sakte hai.
1. Yaha Par Click kar aap window xp ka ISO File select kare.
2. Yaha se Aap Window 7,8,8.1,10 Ke Liye Multi bootable pendrive bana sakte hai.Yaha se aap 7.8.10 ka iso file ko select kare.
3. Coustom Menu Name For Vista/7/8 Server Source par click kare.
4. Go Ki Button par click kare.
Step 3. Go Par Click Karne ke bad aapke samne worning message aayega,Yaha aapko ok par click karna hai.Ab aapke pendrive bootable hona start ho jayega.
Ab kuch time wait karne ke bad aapka pendrive me window install ho jayegi.Ab aap Aarm se apne computer par window ko install kar sakte hai.
i Hope aapko meri post me kahi koi problem nhi hui hogi.Agar aapko meri post pasand aayi ho to plese ise share jarur kare.